Powered by Blogger.
RSS

Thursday, October 27, 2011

PREPARATION OF FRIDAY


Momin wo nahi jis
ki mehfil pak ho,
Bul-k momin wo hay
jis ki tanhai pak ho”.
Main jannat k shoq main ibadat nahi
karta k ye ibadat nahin tijarat hai.
Main dozukh k khof se ibadat nahin
karta k ye ibadat nahin ghulami hai.
Main ibadat sirf iss liye karta hon
k mera RUB ibadat k layaiq hai.
(Hazrat Ali)
Barish ka qatra seepi or sanp dono k muu mein girta hey
jab k sanp usay zeher bana deta hay,
or seepi usay moti,
Jiska jesa zarf wesi uski takhleeq.
HAZRAT ALI(R.A)
New hijri year. 1429 Mubarak
Allah talah aap ko
hazaroon khushiyan ataa karay
aur aap per rehmatain nazil fermaye.
ameen.
Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho,
to tum use door se dekh rahe ho,
Ya phir gharoor se dekh rahe ho
(Hazrat Ali(R.A)”

Aqwal-e-zareen

Ustaad ki maar baap k pyar se achi hai
[HAZRAT LUQMAN (A.S)]
Chand k baghair raat bekar hai, aur ilm k baghair zehan.
[HAZRAT ABU BAKAR(RAA)]
Jo tujhey teri khamiyan batayewo tera dost hai.
[HAZRAT UMER (RAA)]
Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho.
[HAZRAT ALI (RAA)]

NABI KAREEM S.A.W ne farmaya

NABI KAREEM S.A.W ne farmaya:
“libas ki sadgi iman ki alamaton
main se aik alamat hai.”
ABU DAUD
(Allah us shakhs ko abad rakhta hai
jo hadis sun k dosre ko phnchaye!)

Zindagi bewafa kion hoti hai?

Zindagi bewafa kion hoti hai?
Wafa kernay ki saza kion hoti hai?
Choti si baat pe baha dety hain KHOON
Insan mein itni ANA kion hoti hai?
Karta hun mein jis se bar baar TAUBA,
Elahi mujhse wohi KHATA kion hoti hai,
Banatay to hain hum apne haton se MASJID,
NAMAZ apni hi phir QAZA kion hoti hai..